Qayem Chandpuri

ab ke jo yahan se jaenge hum

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
ab ke jo yahāñ se jā.eñge ham
phir tujh ko na muñh dikhā.eñge ham
mushkil hai na aanā tujh galī meñ
par ye bhī sahī na ā.eñge ham
jo aage kahā kiye haiñ tujh se
so ab ke vo kar dikhā.eñge ham
aisā hī jo dil na rah sakegā
Tuk duur se dekh jā.eñge ham
haañ kyuuñ na mileñge tujh se zālim
jab gāliyeñ nit kī khā.eñge ham
āzurda ho ġhair se laḌo yaañ
is ohde se kab bar ā.eñge ham
jiine hī se haath uThā.eñge lek
bāteñ na tirī uThā.eñge ham
gar ziist hai tujh talak to phir kyā
sadqe tire mar hī jā.eñge ham
ab kūche meñ tere hī pyāre
kisī aur se jī lagā.eñge ham
juuñ chāhiye chaah kā sarishta
jiite haiñ to kar dikhā.eñge ham
is par bhī agar mileñge ḳhair
'qā.em' hī na phir kahā.eñge ham
Top Urdushayar.com