Qayem Chandpuri

kal ai aashob-e-nala aaj nahin

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
kal ai āshob-e-nāla aaj nahīñ
aaj hañgāma par mizāj nahīñ
ġhair us ke ki ḳhuub roiye aur
ġham-e-dil kā koī ilaaj nahīñ
ab bhī qīmat hai dil kī gosha-e-chashm
itnī ye jins be-rivāj nahīñ
shah ko bhī chāhiye hai gor-o-kafan
kaun hai jis ko ehtiyāj nahīñ
dil se bas haath uThā tū ab ai ishq
deh-e-vīrān par ḳhirāj nahīñ
do-jahāñ bhī mileñ to bas hai hameñ
yaañ kuchh itnī to ehtiyāj nahīñ
kar na jur.at tū ai tabīb ki ye
dil kā dhaḌkā hai iḳhtilāj nahīñ
maiñ to 'qā.em' kahe thā tujh se aah
dil-e-nāzuk hai ye zujāj nahīñ
Top Urdushayar.com