Qayem Chandpuri

dil mein apne nahin koi juz-yar

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
dil meñ apne nahīñ koī juz-yār
laisa-fiddār-e-ġhairahū dayyār
kufr o diiñ se nahīñ kuchh aap ko bahs
sar-e-tasbīh o gardan-e-zunnār
dāġh-e-ashk āstīñ se uḌte haiñ
muft jaatī hai haath se ye bahār
ham vo āfat-e-talab haiñ hai jin ko
zaḳhm-e-shamshīr marham-e-zañgār
yaad meñ kis kī raat royā huuñ
ġharq-e-ḳhūñ hai hanūz jeb-o-kanār
aah kyā kiije zulf o ruḳh us kā
chit chaḌhā hī rahe hai lail o nahār
nāsehā tark kiije kis kis kā
jīte-jī ko to sab kuchh hai darkār
ishq-bāzī ko kyā karegā tū
go ki chhoḌā maiñ ik sharāb o qimār
ham ne dekhā hai dāġh-e-dil 'qā.em'
vaqinā rabbanā azābannār
Top Urdushayar.com