ek jāgah pe nahīñ hai mujhe ārām kahīñ
hai ajab haal mirā sub.h kahīñ shaam kahīñ
chashm ne jo yamanī laḳht jigar ke kho de
un nagīñ kā to nahīñ sunte ham ab naam kahīñ
apnī qismat meñ mai-e-sāf to saaqī ma.alūm
kaash pheñke tū idhar durd-e-tah-e-jām kahīñ
ai falak tarah se makḌī kī tū jāloñ ko na puur
vo jo shahbāz haiñ aate haiñ tah-e-dām kahīñ
us kamar se nigah-e-shauq lipaTtī to hai lek
jī ye dhaḌke hai ki aa jaa.e na ilzām kahīñ
tum ne kī dil kī talab ham bhī kahāveñge va-lek
yuuñ ye farmā.isheñ hotī haiñ sar-anjām kahīñ
pā-e-dīvār se phir merī tarah vo na uThā
jin ne dekhā tujhe yakbār sar-e-bām kahīñ
uzr-e-taqsīr bhī chāhūñgā maiñ us se ai dil
Tuk tū ḳhāmosh ho dene se vo dushnām kahīñ
azm ka.aba kā tū 'qā.em' to kiyā hai lekin
rahn-e-mai kiijo na vaañ jāma-e-ehrām kahīñ