Qayem Chandpuri

jun shama dam-e-subh main yan se safari hun

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
juuñ sham.a dam-e-sub.h maiñ yaañ se safarī huuñ
Tuk muntazir-e-jumbish-e-bād-e-saharī huuñ
ne girya-e-shab huuñ maiñ na āh-e-saharī huuñ
juuñ bāñg-e-jaras ham-nafas-e-be-asarī hoñ
jaatā huuñ maiñ jīdhar ko vo muñh phere hai mujh se
goyā ki maiñ gard-e-qadam-e-rah-guzrī huuñ
dekhā na maiñ juz-sāya-e-bāzū-e-shikasta
hirmāñ-zada juuñ hasrat-e-be-bāl-o-parī huuñ
maiñ pairahan apne maiñ samātā nahīñ juuñ gul
jis vaqt se āmāda pa.e-jāma-darī huuñ
sau ḳhizr se kam-hausla vaañ jī se ga.e haiñ
jis dasht-e-ḳhatarnāk kā maiñ rah-guzrī huuñ
juuñ sard rakhā sañg-e-jafā se mujhe āzād
marhūn tirā jī se maiñ ai be-samarī huuñ
kyā kam huuñ sikandar se agar dekhiye mujh ko
ā.īna-sifat mālik-e-ḳhushkī-o-tarī huuñ
kis bazm meñ dekhī hai vo jhamkī ki maiñ 'qā.em'
juuñ sham.a sadā mahv-e-pareshāñ-nazarī huuñ
Top Urdushayar.com