be-shaġhl na zindagī basar kar
gar ashk nahīñ to aah sar kar
de tūl-e-amal na vaqt-e-pīrī
huī sub.h fasāna muḳhtasar kar
kuchh turfa maraz hai zindagī bhī
is se jo koī chhuTā so mar kar
ka.aba ke safar meñ kyā hai zāhid
ban jaa.e to aap se safar kar
kyā dekhe hai ā.īne ko pyāre
īdhar bhī to ek dam nazar kar
vo bā.is-e-zīst shāyad aa jaa.e
ai jaan tū jā.iyo Thahar kar
fursat hai ġhanīmat aaj ġhāfil
jo ho sake naf.a yā zarar kar
ye dahr hai kārgāh-e-mīnā
jo paañv rakkhe tū yaañ so Dar kar
ta.amīr pe ghar kī mar na ai dil
'qā.em' kī tarah diloñ meñ ghar kar