vāqif nahīñ ham ki kyā hai behtar
juz ye ki tirī razā hai behtar
detā hai vahī tabīb-e-hāziq
bīmār ko jo davā hai behtar
kis se kahūñ hāl-e-bad ki vo aap
kuchh mujh se bhī jāntā hai behtar
ā.īna ho yā to aab lekin
har shakl meñ ik safā hai behtar
charche se agar ho sohbat-e-ġham
shādī se hazār jā hai behtar
le naala ḳhabar ki zaḳhm dil kā
phir kahte haiñ ho chalā hai behtar
har uzv hai dil-fareb terā
kahiye kise kaun sā hai behtar
jaatī hai nasīm us galī ko
uTh sakiye to qāfila hai behtar
'qā.em' jo kaheñ haiñ fārsī yaar
is se to ye reḳhta hai behtar