Qayem Chandpuri

yunhi ranjish ho aur gila bhi yunhi

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
yūñhī ranjish ho aur gilā bhī yūñhī
ho je har baat par ḳhafā bhī yūñhī
kuchh na ham ko hī bhā gayā ye taur
vāqa.ī ye ki hai mazā bhī yūñhī
said-e-kanjashk se na haath uThā
aa ke phañs jaa.e hai humā bhī yūñhī
juuñ ujāḌā tū ghar mirā ai ishq
ḳhāna vīrān ho tirā bhī yūñhī
kyuuñ na ro.uuñ maiñ dekh ḳhanda-e-gul
ki hañse thā vo bevafā bhī yūñhī
ab talak merī ziist ne kī vafā
bas maiñ dekhī tirī jafā bhī yūñhī
mas-e-dil ko diyā kar apne gudāz
haath chaḌh jā hai kīmiyā bhī yūñhī
ye kahāñ aur vo gul kidhar 'qā.em'
ik havā bāñdhe hai sabā bhī yūñhī
Top Urdushayar.com