vāshud kī dil ke aur koī raah hī nahīñ
juz ye ki aah kījiye so aah hī nahīñ
taklīf-e-bazm-e-ahl-e-jahāñ tā-kujā ki dil
mutlaq meñ vaañ ke rañg se āgāh hī nahīñ
aa ai 'asar' mulāzim-e-sarkār-e-girya ho
yaañ juz guhar ḳhazāne meñ tanḳhvāh hī nahīñ
lāzim the ham bukārat-e-duniyā ko ai falak
tiiñ dī ye duḳht un ko jinheñ baah hī nahīñ
'qā.em' matā-e-dil ko abas kyuuñ kare hai ḳhvār
is jins kī jahāñ meñ koī chaah hī nahīñ