uTh jaa.e gar ye biich se parda hijāb kā
dariyā hī phir to naam hai har ik hubāb kā
kyuuñ chhoḌte ho durd-e-tah-e-jām mai-kasho
zarra hai ye bhī āḳhir usī āftāb kā
aisī havā meñ paas na saaqī na jām-e-mai
ronā bajā hai haal pe mere sahāb kā
honā thā zindagī hī meñ muñh shaiḳh kā siyāh
is umr meñ hai varna mazā kyā ḳhizāb kā
is dasht-e-pur-sarāb meñ bahke bahut pa haif
dekhā to do qadam pe Thikānā thā aab kā
zāhid marīz-e-ishq pe ho sharb-e-mai harām
baare ye mas.ala hai tirī kis kitāb kā
juuñ surma kyuuñ na chashm meñ 'qā.em' kī ho jagah
āḳhir vo ḳhāk-e-pā hai shah-e-bū-turāb kā