Qayem Chandpuri

naseha kar na ise si ke pasheman mujhko

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
nāsehā kar na ise sī ke pashemāñ mujh ko
kitne hī chaak abhī karne haiñ garebāñ mujh ko
vahshat-e-dil koī shahroñ meñ samā saktī hai
kaash le jaa.e junūñ sū-e-bayābāñ mujh ko
ahl-e-masjid ne jo kāfir mujhe samjhā to kyā
sākin-e-dair to jaane haiñ musalmāñ mujh ko
maiñ sar-e-mū nahīñ juuñ zulf kisī se shākī
bāda-dastī ne kiyā merī pareshāñ mujh ko
sach kaho kis se hai ye nain khilāne kā shauq
bhejte ho jo pa.e-surma-safāhāñ mujh ko
yaañ talak ḳhush huuñ amārid se ki ai rabb-e-karīm
kaash de huur ke badle bhī tū ġhilmāñ mujh ko
muft tak to koī 'qā.em' nahīñ lene kā ye jins
kah falak se kare kuchh aur bhī arzāñ mujh ko
Top Urdushayar.com