is ko na raat kah tū na is ko batā ġhalat
kyā jaane kyā sahī hai vaaq.e meñ kyā ġhalat
dekhā hai maiñ rubā.ī-e-hastī ko ġhaur se
par lafz nā-durust haiñ had-e-mudda.ā ġhalat
iz.hār-e-ishq Dol hī apnā nahīñ hai shoḳh
jin ne kahā ye tujh se hai mahz iftirā ġhalat
us mārpech kūche meñ kākul ke dil hai ġham
jis meñ ki rāh-e-ḳhizr ne akasr kiyā ġhalat
'qā.em' na aish-e-naqd ko nisya pe chhoḌiye
kyā jaane baat qissa kī hai raast yā ġhalat