terī zabāñ se ḳhasta koī zaar hai koī
pyāre ye nahv o sarf ye guftār hai koī
Thokar meñ har qadam kī taḌapte haiñ dil ka.ī
zālim idhar to dekh ye raftār hai koī
juuñ shāḳh-e-gul hai fikr meñ merī shikast kī
merā gar us chaman meñ havā-dār hai koī
zālim ḳhabar to le kahīñ 'qā.em' hī ye na ho
nālān o muztarib pas-e-dīvār hai koī