Qayem Chandpuri

na puchho ki qaem ka kya haal hai

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
na pūchho ki 'qā.em' kā kyā haal hai
kuchh ik Dher haDDiyoñ kā yā khaal hai
jo baiThe to hai rū-e-qālīñ kā naqsh
khaḌā ho to kāġhaz kī timsāl hai
khaTaktā hai pahlū meñ yuuñ ham-nashīñ
kahe to ye dil tiir kī bhaal hai
giraftār hai jo tirī zulf kā
vo har qaid se fāriġh-ul-bāl hai
uThā rauñd Daale ik aalim ke dil
bhalā shoḳh ye bhī koī chaal hai
ulajhtā hai jī shaiḳh kī riish dekh
vo sach hai misl baal janjāl hai
dhaḌakne kā dil par hai gaahe hujūm
gahe chashm girya kī pāmāl hai
ye goyā dar-e-daulat-e-ishq par
dil o diida sāmān ghaḌiyāl hai
ḳhush aa.ī hai 'qā.em' yahī gar zamīñ
to phir kah na mazmūñ kā kyā kaal hai
Top Urdushayar.com