Qayem Chandpuri

kar imtihan Tuk ho ke tu KHunKhaar yak taraf

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
kar imtihāñ Tuk ho ke tū ḳhuñḳhār yak taraf
maiñ aaj yak taraf huuñ tire yaar yak taraf
insāf hai ki ġhair se sohbat rakhe tū garm
baiThā rahūñ maiñ misl-e-gunahgār yak taraf
sīkhe ho kis se sach kaho pyāre ye chāl-Dhāl
tum yak taraf chalo ho to talvār yak taraf
naaz o karishma ishva-o-andāz aur adā
maiñ yak taraf huuñ itne sitamgār yak taraf
kis baat par tirī maiñ karūñ e'tibār haa.e
iqrār yak taraf hai to inkār yak taraf
dekheñ pirove kaun bhalā silk-e-laḳht-e-dil
maiñ ik taraf huuñ abr-e-guhar-bār yak taraf
'qā.em' har ek kūche meñ hai turfa-ta.aziya
yūsuf tire kī garmī-e-bāzār yak taraf
dallāl ek samt ko muñh se maleñ haiñ ḳhaak
sar pīTte phireñ haiñ ḳharīdār yak taraf
Top Urdushayar.com