ik Dhab pe kabhū vo but-e-ḳhud-kām na paayā
dekhā meñ jo kuchh sub.h use shaam na paayā
apnī hī havas ke ye sab uljhāv haiñ varna
is raah meñ ham ne to kahīñ daam na paayā
vo naḳhl-e-ḳhizāñ-dīda huuñ us dasht meñ jis ke
saaye meñ kisī pahuñche ne bisrām na paayā
vo be-sar-o-tan hai ye zamāna ki ba-īñ-ġhaur
jis kā maiñ kuchh āġhāz aur anjām na paayā
fahrist meñ ḳhūbān-e-vafādār kī pyāre
dekhī to kahīñ us meñ tirā naam na paayā
ma.amūl thā dushnām evaz apnī duā kā
so vo bhī ka.ī din se maiñ in.aam na paayā
yak shab vo kahīñ god meñ soyā thā so 'qā.em'
phir bālish-e-maḳhmal se maiñ ārām na paayā