Qayem Chandpuri

Tuk to KHamosh rakho munh mein zaban sunte ho

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
Tuk to ḳhāmosh rakho muñh meñ zabāñ sunte ho
apnī hī kahte ho merī bhī miyāñ sunte ho
sañg ko aab kareñ pal meñ hamārī bāteñ
lekin afsos yahī hai ki kahāñ sunte ho
ḳhushk o tar phūñktī phirtī hai sadā ātish-e-ishq
bachiyo is aañch se ai piir o javāñ sunte ho
dam-qadam tak thī hamāre hī junūñ kī raunaq
ab bhī kūchoñ meñ kahīñ shor-o-fuġhāñ sunte ho
maiñ kahā ḳhalq tumhārī jo kamar kahtī hai
tum bhī is kā kahīñ kuchh zikr-o-bayāñ sunte ho
hañs ke yuuñ kahne lagā ḳhair agar hai ye baat
huegī vaisī hī jaisī ki vahāñ sunte ho
hazrat-e-'dard' kī ḳhidmat meñ jab aa 'qā.em' ne
arz ki ye ki ai ustād-e-zamāñ sunte ho
amr hove to 'hidāyat' ko karūñ maiñ sīdhā
vaañ se irshād huā ye ki miyāñ sunte ho
raast hote haiñ kisī se bhī kabhū kaj-tīnat
tiir bantī hai kahīñ shāḳh-e-kamāñ sunte ho
Top Urdushayar.com