Qayem Chandpuri

KHat ke aate hi wo mukhDe ki safai kya hui

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
ḳhat ke aate hī vo mukhḌe kī safā.ī kyā huī
vo manush kīdhar ga.e vo mīrzā.ī kyā huī
ham na kahte the ki pyāre jaan ahl-e-dil kī qadr
ab vo dil kīdhar ga.e vo dilrubā.ī kyā huī
zor kartā hai ik aalam nā-tavānoñ par tire
ai sipahr-e-dūñ tirī zor-āzmā.ī kyā huī
shaiḳh-jī aayā na masjid meñ vo kāfir varna ham
pūchhte tum se ki ab vo pārsā.ī kyā huī
roiye is ġham-kade meñ aah kis kis ko ki yaañ
dekhte nazroñ ke apnī ik ḳhudā.ī kyā huī
ai vafā-begāna thā tū bhī to ham se āshnā
vo vafā kīdhar ga.ī vo āshnā.ī kyā huī
go kisī hālat meñ ho 'qā.em' maiñ samjhūñ huuñ tujhe
hai to tū vo hī pa terī kibriyā.ī kyā huī
Top Urdushayar.com