Qayem Chandpuri

aao kuchh shaghl karen baiThe hain uryan itne

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
aao kuchh shaġhl kareñ baiThe haiñ uryāñ itne
phāḌeñ siina hī go haath aa.e garebāñ itne
aah koī jo use aan ke samjhātā ho
dekhte haiñ khaḌe hindū o musalmāñ itne
sach kah ai bād-e-sabā hai kisī gul par ye bahār
tū ne dekhe haiñ zamāne ke gulistāñ itne
shor mahshar kā rahe kyuuñ na tire kūche meñ
jis jagah hoveñ ikaTThe dil-e-nālāñ itne
ham se vāmāñdoñ ko allāh nibāhe to nibheñ
tan so ye ḳhasta o darpesh bayābāñ itne
dam bhī kuchh chiiz hai jab chuuk gayā baat tamām
kaun sī ziist pe tū kartā hai sāmāñ itne
tujh ko 'qā.em' rakhe allāh bahut sā ai amiir
mujtam.a saa.e meñ haiñ jis ke suḳhan-dāñ itne
Top Urdushayar.com