jis ko hastī o adam jānte haiñ
hai vo kuchh aur hī ham jaate haiñ
kūcha-e-jumb se mulhaq hai shaiḳh
ham jise rāh-e-haram jānte haiñ
juzv o kul ek hai juuñ qatra-e-bahr
bahut is ramz ko kam jānte haiñ
shāhid-e-ḳhūb o makān-e-dilchasp
ham yahī huur o iram jānte haiñ
kah na mat khā mire sar kī saugand
ham to ik ye hī qasam jānte haiñ
kahte ho ā.ūñgā maiñ ik dam meñ
aise ham saikaḌoñ dam jānte haiñ
dil jo taabe na ho apne 'qā.em'
ham use chhātī pe jam jānte haiñ