Qayem Chandpuri

main KHub ahl-e-jahan dekhe aur jahan dekha

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
maiñ ḳhuub ahl-e-jahāñ dekhe aur jahāñ dekhā
par āshnā koī dekhā na mehrbāñ dekhā
hamesha man.a tū kartā thā baaġh se ham ko
kuchh haal ab gul o gulshan kā bāġhbāñ dekhā
talab kamāl kī koī na kījiyo zinhār
ki maiñ ye kar ke fuzūlī bahut ziyāñ dekhā
na jaane kaun sī saa.at chaman se bichhḌe the
ki aañkh bhar ke na phir sū-e-gulsitāñ dekhā
sune ko dekhe pa ham kis tarah se deñ tarjīh
ḳhudā to ham ne sunā hai tumheñ butāñ dekhā
ba-rañg-e-ġhuncha bahār us chaman kī sunte the
pa juuñ hī aañkh khulī mausam-e-ḳhizāñ dekhā
na kahte the tujhe 'qā.em' ki dil kisī ko na de
mazā kuchh is kā bhalā tū ne ai miyāñ dekhā
Top Urdushayar.com