aap jo kuchh qarār karte haiñ
kahiye ham e'tibār karte haiñ
ye ki yaañ maiñ huuñ vaa.e un kā haal
mujh pe jo iftiḳhār karte haiñ
par farishte ke us jagah jal jaa.eñ
jis taraf ham guzār karte haiñ
go kuhan-dām haiñ ham ai sayyād
lek anqā shikār karte haiñ
sī to lene do jeb nāseh ko
ab kī ham taar taar karte haiñ
dil kī dil jaane ham to apnā kaam
ab ke kheve meñ paar karte haiñ
gir rahā hai ravāq-e-vahm ġhāfil
fikr-e-naqsh-o-nigār karte haiñ
sar gayā nāma-bar kā vaañ ai vaa.e
yaañ qadam ham shumār karte haiñ
dil-tahī kyā kare hai tiiñ pahlū
ham to aap hī kanār karte haiñ
chaliye qaa.em ki raftagāñ apnā
der se intizār karte haiñ