Qayem Chandpuri

har-chand dukh-dahi se zamane ko ishq hai

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
har-chand dukh-dahī se zamāne ko ishq hai
lekin mire bhī taab ke laane ko ishq hai
āshufta-sar haiñ yaañ dil-e-sad-chāk bhī ka.ī
tanhā na terī zulf se shāne ko ishq hai
aflāk baiThe jaa.eñ the jis bojh ke tale
aadam ke vaise baar uThāne ko ishq hai
vahshat ko apnī shahr o bayābāñ meñ jā nahīñ
aaqil ko ab duā o divāne ko ishq hai
yā-rab ban aa.ī aadmī mar jaa.e par na ho
vo rañj-e-bad-balā jo kahāne ko ishq hai
dil ko chhuTā vahīñ se phañsāyā to zulf meñ
ai ishq tere baat baḌhāne ko ishq hai
'qā.em' havas se go ki kahī sab ne ye ġhazal
lekin tire radīf biThāne ko ishq hai
Top Urdushayar.com