Qayem Chandpuri

qatl pe tere mujhe kad chahiye

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
qatl pe tere mujhe kad chāhiye
ḳhuub hai ye apne kā bad chāhiye
zulf ke kūchoñ kī darāzī na pūchh
chalne ko vaañ umr-e-abad chāhiye
dil kī maiñ kartā nahīñ jhūTī salāh
maal hai sarkār kā jad chāhiye
fauj kī hai ashk kī hālat tabāh
aah se is vaqt madad chāhiye
shaiḳh kī izzat hai min-al-vāhiyāt
kafash na hove to lakad chāhiye
pashm hai yaañ masnad-e-qāqum kā farsh
ghar meñ faqīroñ ke namad chāhiye
pasrav-e-ahmad ho ki marnā hai kal
raah na diida ko balad chāhiye
ham se ye kyā nā-ḳhush o 'qā.em' se ḳhush
jo ho miyāñ hissa rasad chāhiye
Top Urdushayar.com