Qayem Chandpuri

na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hain

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
na bīm-e-ġham hai ne shādī kī ham ummīd karte haiñ
qalandar haiñ jo pesh aa jaa.e sab kuchh diid karte haiñ
kahāñ kā ġharra-e-shavvāl kaisā ashra zī-hijja
hameñ haath aa.e mai jis din ham us din iid karte haiñ
mizāj-e-ḳhas hai ahl-e-ishq kā jalne ke aalam meñ
jalātā hai jo in ko us kī ye tā.īd karte haiñ
irāda to na thā apnā bhī jaane kā tire ghar se
pa kyā kiije ki baḳht-e-vāzhgūñ tākīd karte haiñ
ye kaasa sar tale rakkhe jo mai-ḳhānoñ meñ sote haiñ
jise chāheñ use ik jaam meñ jamshed karte haiñ
jinheñ kuchh silsile meñ ishq ke tahqīq hāsil hai
vo kab majnūñ se har gumrāh kī taqlīd karte haiñ
na jaane kahiye kis qālib meñ 'qā.em' dard-e-dil us se
nahīñ bantī zabāñ se dil meñ jo tamhīd karte haiñ
Top Urdushayar.com