zāhid dar-e-masjid pe ḳharābāt kī tū ne
jī bhī yūñhī chāhe thā karāmāt kī tū ne
jaane de bas ab yaar ki ye bhī nahīñ kuchh kam
a.amāl kī dil ke jo mukāfāt kī tū ne
īdhar to maiñ nālāñ huuñ udhar ġhair na jaane
ab kis se mirī jaan mulāqāt kī tū ne
allāh-rī mohabbat tirī ta.alīm ki jo baat
dushvār thī mujh par so musāvāt kī tū ne
'qā.em' rah-e-pur-ḳhauf hai aur duur hai manzil
kab pahuñchegā zālim jo yahīñ raat kī tū ne