Qayem Chandpuri

sahra pe gar junun mujhe lawe itab mein

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
sahrā pe gar junūñ mujhe laave itaab meñ
khīñchūñ har ek ḳhaar ko pā-e-hisāb meñ
is barq kī tarah se ki ho vo sahāb meñ
ātish dī baḳht-e-bad ne mujhe ain aab meñ
dekhī thī zulf raat kisī kī maiñ ḳhvāb meñ
ab tak hai baal baal mirā pech-o-tāb meñ
Tuk ġhaur kar tū bū-qalmoñ kā falak ke Dol
ik rañg hai nayā hī har ik inqalāb meñ
us shola-ḳhū se kasb-e-harārat kare hai daaġh
zarra hai jis kā soz-e-dil-e-āftāb meñ
mai pī jo chāhe ātish-e-dozaḳh se tū najāt
jaltā nahīñ vo uzv jo tar ho sharāb meñ
juuñ mauj mujh se mūjib-e-be-tāqatī na pūchh
ik umr hai ki huuñ maiñ isī iztirāb meñ
qaazī ḳhabar le mai ko bhī likkhā hai vaañ mubāh
rishvat kā hai javāz tirī jis kitāb meñ
roz-e-shumār go ho mire saath bāz-purs
maiñ kyā huuñ aur mere gunah kis hisāb meñ
ye sar-kashī hai utnī tanik mā.egī pe kyā
jhamkā nahīñ hai bahr agar is sahāb meñ
kyā kiije hove chashm miyāñ terī hī jo kor
zāhir hai varna husn vahī har naqāb meñ
nāseh na taaza ishq kī maiñ vaz.a kī hai raah
har kuchh kare hai aadmī ahd-e-shabāb meñ
qaa.em hai ye bhī taur koī zindagī kā yaañ
guzrī tamām umr tirī ḳhūr-o-ḳhvāb meñ
'qā.em' ho kis tarah se baham shakl-e-iḳhtilāt
vo is ġhurūr-e-nāz meñ ham is hijāb meñ
Top Urdushayar.com