Qayem Chandpuri

nigahon se nigahen samne hote hi jab laDiyan

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
nigāhoñ se nigāheñ sāmne hote hī jab laḌiyāñ
yakāyak khul ga.iiñ donoñ taraf se dil kī kuljhaḌiyāñ
ye ab kī shab-barāt ai yaar tujh bin ham pe yuuñ guzrī
havā.ī to hamārī aah thī aur ashk phul-jhaḌiyāñ
hamārī aah jaise laḳht-e-dil se guth ke nikle hai
kahīñ dekhī haiñ tiiñ is lutf se phūloñ kī bhī chhaḌiyāñ
muā majnūñ to ik muddat huī par ab tak is ġham meñ
kareñ haiñ naala mil kar ham-digar zanjīr kī kaḌiyāñ
zamīñ se ye lago nahīñ gul bhalā kis tarah nikle haiñ
jo lākhoñ sūrateñ dilkash nahīñ is ḳhaak meñ gaḌiyāñ
kabhū TuuTā na mizhgāñ se mirī aañsū kā zanjīrā
na jaane ashk ke qatre the yā motī kī ye laḌiyāñ
bhare aate haiñ 'qā.em' pai-ba-pai is tarah aañsū se
kahe tū chashm ko merī ki haiñ ye rahT kī ghaḌiyāñ
Top Urdushayar.com