na pūchh ''girya-e-ḳhūñ kā tire hai kyā bā.is''
sabab to aur nahīñ kuchh magar tirā baa.is
agarche shaiḳh hai piinā sharāb fel-e-shanī.a
pa kyā karūñ ki ka.ī din se thī huā baa.is
do-chand girya kī tabrīd se huī tab ishq
ziyādtī kā maraz kī hai yaañ davā baa.is
na jurm us kā hai sābit na kuchh mirī taqsīr
ḳhudā hī jaane ki ranjish kā kyā huā baa.is
rahā maiñ us se girafta ik umr tak lekin
kiyā jo ḳhuub ta.ammul to kuchh na thā baa.is
tarah us aab kī jo pairne se ho dirham
hue haiñ mere tashattut ke āshnā baa.is
kabhū khilā na dam-e-sard se ye dil 'qā.em'
agarche khilne kā ġhuncha ke hai sabā baa.is