dil pā ke us kī zulf meñ ārām rah gayā
darvesh jis jagah ki huī shaam rah gayā
jhagḌe meñ ham mabādī ke yaañ tak phañse ki aah
maqsūd thā jo apne ta.iiñ kaam rah gayā
nā-poḳhtagī kā apnī sabab us samar se pūchh
jaldī se bāġhbāñ kī vo jo ḳhaam rah gayā
sayyād tū to jaa, hai par us kī bhī kuchh ḳhabar
jo murġh-e-nā-tavāñ ki tah-e-dām rah gayā
qismat to dekh TuuTī hai jā kar kahāñ kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayā
māreñ haiñ ham nagīn-e-sulaimāñ ko pusht-e-dast
jab miT gayā nishān to go naam rah gayā
ne tujh pe vo bahār rahī aur na yaañ vo dil
kahne ko nek-o-bad ke ik ilzām rah gayā
mauqūf kuchh kamāl pe yaañ kām-e-dil nahīñ
mujh ko hī dekh lenā ki nākām rah gayā
'qā.em' ga.e sab us kī zabāñ se jo the rafīq
ik be-hayā maiñ khāne ko dushnām rah gayā