Qayem Chandpuri

jun ibrat-e-kor jalwa-gar hun

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
juuñ ibrat-e-kor jalva-gar huuñ
albatta kuchh huuñ maiñ par kidhar huuñ
juuñ shīsha bharā huuñ mai se lekin
mastī se maiñ apnī be-ḳhabar huuñ
jo kahiye so yaañ se hai farautar
kyā jaane maiñ kis maqām par huuñ
ai sabr tanik tū rah ki tujh se
do-chār qadam maiñ peshtar huuñ
chal dāman o āstīñ tujhe kyā
lab-ḳhushk huuñ yā maiñ chashm-tar huuñ
ai baḳht-e-sa.īd terī daulat
ik yumn-e-qadam se huuñ jidhar huuñ
parvāne kī shab kī shaam huuñ maiñ
yā roz kī sham.a kī sahar huuñ
jī māñge hai ḳhush-dilī ko 'qā.em'
tū baiTh ke ro maiñ nauhagar huuñ
Top Urdushayar.com