Qayem Chandpuri

qasid ko de na ai dil us gul-badan ki pati

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
qāsid ko de na ai dil us gul-badan kī paatī
chal ḳhud hī le chaleñ ham apne sajan kī paatī
har satr mauj-e-shīrīñ ik mudda.ā rakhe hai
Tuk dekh jū-e-pur-ḳhūñ hai kohkan kī paatī
kāġhaz harī zamīñ kā nahīñ dekhtā ki shāyad
pahuñche na is hunar se us ko haman kī paatī
munfaz nigah kā aañsū ghere hī leñ haiñ pyāre
bāñchūñ so kis tarah se ab meñ tumhan kī paatī
āvāra dāġh-e-dil haiñ naale se yuuñ ki jaise
bād-e-ḳhizāñ se dirham hove chaman kī paatī
'qā.em' likhā thā us ne aane kā shab ko va.ada
so din meñ dekhī sau dam us sīm-tan kī paatī
Top Urdushayar.com