gila tire firāq kā jo āj-kal nahīñ rahā
to kyuuñ bhalā ye mustaqil azaab Tal nahīñ rahā
maiñ kis se iltijā karūñ kahāñ se ibtidā karūñ
duā ahal rahī nahīñ gila badal nahīñ rahā
maiñ rāstoñ kī bhiiḌ meñ kahāñ ye aa gayā ki ab
koī bhī rāsta tirī galī nikal nahīñ rahā
vo naqsh-e-pā ko dekh kar chalā ho mujh ko DhūñDne
isī gumān ke evaz maiñ tez chal nahīñ rahā
faqat yahī hai aarzū tū mil kahīñ to rū-ba-rū
ye dil tire firāq meñ kahīñ sambhal nahīñ rahā