māñge hai tire milne ko be-tarah se dil aaj
kal kyā hai jo milnā hai mirī jaan tū mil aaj
phir sub.h se āshob-e-qayāmat hai jahāñ meñ
chehre pe tire kin ne banāyā hai ye til aaj
ai girya tū ḳhātir se mirī kiijo na sarfa
maiñ ḳhūn-e-dil-ḳhasta kiyā tujh pe bahil aaj
chāhe hai agar kal ko tirī nashv-o-numā ho
dil khol ke daane kī tarah ḳhaak meñ ril aaj
kyā siina jo taḌphoñ ko nigah kī tirī jhele
is tiir se rah jaa.e na faulād kī sil aaj
yā-rab na paḌe asl se apnī koī yaañ duur
ye aab thā sab jitnī ki dekhe hai tū gil aaj
'qā.em' ye ġhazab kal to na TuuTe thā tire par
dekhā hai kahīñ tiiñ vo but-e-mehr-gusil aaj