Qayem Chandpuri

le chuko dil jo nigah ko to ye dushwar nahin

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
le chuko dil jo nigah ko to ye dushvār nahīñ
lek tum dekhte phirte ho ḳharīdār nahīñ
go ki musharif-ba-halākat huuñ maiñ is baar pe shoḳh
to ayādat ko gar aave to kuchh āzār nahīñ
tañg to ham ko tū ai jaib kare hai lekin
uTh gayā haath gar apnā to phir ik taar nahīñ
go subuk mujh ko zamāne ne kiyā hai lekin
ye bhī hai shukr kisī dil kā to maiñ baar nahīñ
majlis-e-mai se mushābah hai ḳharābāt-e-jahāñ
jaan kar yaañ jo na ho mast so hoshyār nahīñ
har bad o nek jahāñ apnī jagah hai matlūb
kaun sā uzv badan meñ hai ki darkār nahīñ
mai kī tauba ko to muddat huī 'qā.em' lekin
be-talab ab bhī jo mil jaa.e to inkār nahīñ
Top Urdushayar.com