Qayem Chandpuri

malum kuchh hua hi na dil ka asar kahin

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
ma.alūm kuchh huā hī na dil kā asar kahīñ
aisā gayā ki pher na paa.ī ḳhabar kahīñ
aalam meñ haiñ asiir mohabbat ke har kahīñ
lekin sitam kisū pe nahīñ is qadar kahīñ
kholī thī chashm-dīd ko terī pa juuñ hubāb
apne ta.iiñ maiñ aap na aayā nazar kahīñ
juuñ ġhuncha fikr jam.a na kar Tuk tū gul ko dekh
qismat kī kho sake hai pareshānī zar kahīñ
rahne do merī na.ash ko ho jaa.e tā-ġhubār
le jā.egī uḌā ke nasīm-e-sahar kahīñ
masraf hai sab ye bālish-e-sayyād kā tire
bismil na bhariyo ḳhuun se tū bāl-o-par kahīñ
rotī hai kyā guloñ ko tū shabnam idhar to dekh
TukḌe hai is tarah se kisī kā jigar kahīñ
kartā thā kal galī meñ vo apnī ḳhirām-e-nāz
is meñ jo aa ke paḌtī hai mujh par nazar kahīñ
kahne lagā ye dekh ke ahvāl ko mire
bad-nām tū kisī ke ta.iiñ yaañ na kar kahīñ
kyā hattiyā tujhe yahīñ denī hai ai aziiz
itnā paḌā hai mulk-e-ḳhudā jā ke mar kahīñ
'qā.em' ye faiz-e-sohbat-e-'saudā' hai varna maiñ
tarhī ġhazal se 'mīr' kī aatā thā bar kahīñ
Top Urdushayar.com