tark-e-vafā garche sadāqat nahīñ
par ye sitam sahne kī tāqat nahīñ
tark kar apnā bhī ki is raah meñ
har koī shāyān-e-rifāqat nahīñ
koī davā mujh se kī kartā hai lek
ab ke tabīboñ meñ hazāqat nahīñ
kasb-e-hunar kar na ki is vaqt meñ
is se baḌī aur himāqat nahīñ
naam hī 'qā.em' kā gayā hai nikal
varna kuchh itnī to liyāqat nahīñ