Qayem Chandpuri

paDh ke qasid KHat mera us bad-zaban ne kya kaha

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
paḌh ke qāsid ḳhat mirā us bad-zabāñ ne kyā kahā
kyā kahā phir kah but-e-nā-mehrbāñ ne kyā kahā
ġhair se milnā tumhārā sun ke go ham chup rahe
par sunā hogā ki tum ko ik jahāñ ne kyā kahā
gāliyoñ kī jhaaḌ bāñdhī qasd-e-sargoshī meñ raat
kyā kahā chāhe thā maiñ us bad-gumāñ ne kyā kahā
sab ḳhirāj-e-misr de kar thā zuleḳhā ko ye soch
mol yūsuf se pisar kā kārvāñ ne kyā kahā
aah ai murġh-e-chaman kuchh tū bhī vāqif hai ki sub.h
gul ne kyā pūchhā thā hañs kar bāġhbāñ ne kyā kahā
phir lahū Tapke hai pyāre aaj kuchh bātoñ ke biich
sach kaho lab se tumhāre rañg-e-pān ne kyā kahā
'qā.em' us kūche se shab ġhamgīñ na aatā thā yūñhī
kyā kahūñ tujh se ki us ko pāsbāñ ne kyā kahā
Top Urdushayar.com