aaj aap mire haal pe karte haiñ ta.assuf
ashfāq ināyāt karam mehr talattuf
ai girya pas-e-qāfila dil naam hai ik yaar
ye ḳhasta bhī nibh jaa.e jo yak dam ho tavaqquf
hai Dol to naala kā vahī dil bhī vahī lek
tāsīr na ab is meñ hai na is meñ tasarruf
suufī hai vo be-ilm ho jo hastī se apnī
kis kaam paḌhā tū ne jo yuuñ ilm-e-tasavvuf
ḳhāmoshī bhī kuchh turfa latīfa hai ki 'qā.em'
karnā paḌe jis meñ na tasanno na takalluf