Qayem Chandpuri

aaj ji mein hai ki khul kar mai-parasti kijiye

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
aaj jī meñ hai ki khul kar mai-parastī kījiye
ḳhuub sī mai pīji.e aur der mastī kījiye
zohd-e-ḳhushk āḳhir kahāñ tak māya-e-tar-dāmanī
ġharq laa.e mai bhī chande raḳht-e-hastī kījiye
tañg-tar hai dast-e-hājat se dil abnā-e-dahr
kis ke aage zāhir apnī tañg-dastī kījiye
darpa.e-vīrāni-e-dil hai jo bastā hai yahāñ
kis tarah yā-rab is uujaḌ ghar ko bastī kījiye
lab pe favvāre ke jaarī hai ye misra.a dam-ba-dam
de agar ḳhāliq bulandī mail-e-pastī kījiye
muft tak duuñ huuñ maiñ dil tis par koī letā nahīñ
haañ magar is se bhī kuchh ye jins sastī kījiye
Tuk garebāñ aaj phaT kar dhajjiyeñ ho le to phir
chaak par siine ke 'qā.em' pesh-dastī kījiye
Top Urdushayar.com