Qayem Chandpuri

gah pir-e-shaiKH gah murid-e-mughan rahe

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
gah pīr-e-shaiḳh gaah murīd-e-muġhāñ rahe
ab tak to aabrū se nibhī hai jahāñ rahe
duniyā meñ ham rahe to ka.ī din pa is tarah
dushman ke ghar meñ jaise koī mehmāñ rahe
ai diida dil ko rote ho kyā tum hameñ to yaañ
ye jhīknā paḌā hai kisī tarah jaañ rahe
qismat to dekh baar bhī apnā girā to vaañ
jis dasht-e-pur-ḳhatar meñ ka.ī kārvāñ rahe
sohbat kī garmī ham se koī sīkhe misl-e-sham.a
saare hue safed pa tad bhī javāñ rahe
masjid se gar tū shaiḳh nikālā hameñ to kyā
'qā.em' vo mai-farosh kī apne dukāñ rahe
'qā.em' isī zamīñ ko tū phir kah par is tarah
sun kar jise ki charḳh meñ nit āsmāñ rahe
Top Urdushayar.com