Qayem Chandpuri

aage kuchh uske zikr-e-dil-e-zar mat karo

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
aage kuchh us ke zikr-e-dil-e-zār mat karo
sab ḳhairiyat hai us se kuchh iz.hār mat karo
jaane do jo nasīb meñ honā thā so huā
yaaro ḳhudā ke vāste takrār mat karo
ā.īna le ke pahle tanik saj to dekh lo
milne kā ġhair ke abhī inkār mat karo
sar chaḌh rahā hai kaal yūñhī āshiqoñ ke yaañ
paTTī se tum ye baal numūdār mat karo
ai āh-o-nāla chhup ke maiñ aayā huuñ is jagah
aalam ko shor kar ke ḳhabar-dār mat karo
apnī bisāt meñ to yahī jins-e-dil hai yaañ
go ab pasand is ko ḳharīdār mat karo
pyāre kamar kahāñ hai tumhāre yūñhī ba-zan
sun kar kisī se jhuuT par isrār mat karo
'qā.em' vo tab kahe thā shab ahvāl-e-ḳhalq dekh
mujh sā to haq kisī ko trahdār mat karo
Top Urdushayar.com