ho gar aise hī mirī shakl se bezār bahut
tum salāmat raho bande ke ḳharīdār bahut
ham-digar jab ḳhafagī aa.ī to jhagḌā kyā hai
tum ko ḳhvāhiñda bahut ham ko tarah-dār bahut
aaj ke rone meñ jī Duub chalā thā lekin
nāla-e-dil ne rakhā mujh ko ḳhabar-dār bahut
shaiḳh mujh ko na Darā gor ke añdhiyāre se
hijr kī kaaTī haiñ maiñ ne to shab-e-tār bahut
dekhiye ab kī tab-e-ishq se kyūñkar biite
ġhālib aayā hai tabī.at pe ye āzār bahut
sach kaho qatl pe kis ke ye kamar bāñdhī hai
in dinoñ haath meñ tum rakhte ho talvār bahut
'qā.em' aatā hai mujhe rahm javānī pe tirī
mar chuke haiñ isī āzār ke bīmār bahut