Qayem Chandpuri

jahan ko wo lab-e-mai-gun KHarab rakhte hain

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
jahāñ ko vo lab-e-mai-gūñ ḳharāb rakhte haiñ
ḳhudā ḳhabar ki ye kaisī sharāb rakhte haiñ
ik āb-o-tāb mah o āftāb rakhte haiñ
pa rū-kashī kī tirī kab vo taab rakhte haiñ
zahe ḳhasāsat-e-ahl-e-jahāñ ki misl-e-guhar
girah meñ bāñdh ke dariyā meñ aab rakhte haiñ
kis e'tibār pe diije butāñ ko dil ki ba-zor
jo kuchh ki leñ haiñ kisī se ye daab rakhte haiñ
zabān-e-ishq shikāyat se laal hai varna
ham ik gila ke tire sau javāb rakhte haiñ
na laT dhueñ kī hai aisī na zulf sumbul kī
jo baal sar ke tire pech-o-tāb rakhte haiñ
habāb o bahr meñ hājib vajūd hī hai ham aah
mileñ kab us se ye jab tak hijāb rakhte haiñ
liyā hai ham ne bhī bosa diyā hai us ko jo dil
ye sach hai dost diloñ meñ hisāb rakhte haiñ
na kyuuñ izaar kī mohrī hī shaiḳh-jī sī leñ
surīñ jo bahr-e-vazū daab daab rakhte haiñ
na jaane jaate haiñ juuñ sho.ala ham kidhar 'qā.em'
ki har dam ek nayā iztirāb rakhte haiñ
Top Urdushayar.com