Qayem Chandpuri

dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
dekhā kabhū na us dil-e-nāshād kī taraf
kartā rahā tū apnī hī bedād kī taraf
jis gul ne sun ke nāla-e-bulbul uḌā diyā
rakhtā hai gosh kab mirī fariyād kī taraf
muuñd ai par-e-shikasta na chāk-e-qafas ki ham
Tuk yaañ ko dekh lete haiñ sayyād kī taraf
kahte haiñ girya ḳhāna-e-dil kar chukā ḳharāb
aatā hai chashm ab tirī buniyād kī taraf
liijo ḳhabar mire bhī dil-e-zār kī nasīm
jaave agar tū us sitam-ābād kī taraf
'qā.em' tū is ġhazal ko yūñhī sarsarī hī kah
honā paḌegā hazrat-e-ustād kī taraf
Top Urdushayar.com