maiñ na vo huuñ ki tanik ġhusse meñ Tal jā.ūñgā
hañs ke tum baat karoge maiñ bahal jā.ūñgā
ham-nashīñ kījiyo taqrīb to shab-bāshī kī
aaj kar nashsha kā hiila maiñ machal jā.ūñgā
dil mire zo.af pe kyā rahm tū khātā hai ki maiñ
jaan se ab kī bachā huuñ to sambhal jā.ūñgā
sair us kūche kī kartā huuñ ki jibrīl jahāñ
jā ke bolā ki bas ab aage maiñ jal jā.ūñgā
tañg huuñ maiñ bhī ab is jiine se ai jī na rukā
jā nikal jā jo tū kahtā hai nikal jā.ūñgā
shor-e-mahshar se hai parvā mujhe kyā ai vaa.iz
jab ki ham-rāh liye dil sā ḳhalal jā.ūñgā
shoḳhī se pahuñchiye juuñ hind meñ tuutī 'qā.em'
aage 'saudā' ke maiñ le kar ye ġhazal jā.ūñgā