chhoḌ māvā-e-zaqan zulf-e-pareshāñ meñ phañsā
misl-e-yūsuf maiñ nikal chaah se zindāñ meñ phañsā
sail-e-ashk aaj rukī aañkh se girte hī magar
phir ka.ī laḳht-e-jigar dīda-e-giryāñ meñ phañsā
kuchh bhī vaqfa ho to gulshan se le aa.eñ sayyād
rah gayā hai dil-e-ġham-kash gul o raihāñ meñ phañsā
khīñch dāman rakheñ ham yaar ko kis tarah ki haath
ek to dil pe hai aur ek garebāñ meñ phañsā
ai ki chāhe hai tū dīvān ko 'qā.em' ke to dekh
kahīñ hogā kisī ḳhummār kī dukkāñ meñ phañsā