Qayem Chandpuri

phir ke jo wo shoKH nazar kar gaya

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
phir ke jo vo shoḳh nazar kar gayā
tiir sā kuchh dil se guzar kar gayā
ḳhaak kā sā Dher sar-e-rah huuñ maiñ
qāfila-e-umr safar kar gayā
ḳhuld-e-barīñ us kī hai vaañ būd-o-bāsh
yaañ kisī dil biich jo ghar kar gayā
chhup ke tire kūcha se guzrā maiñ lek
naala ik aalam ko ḳhabar kar gayā
juuñ sharar-e-kāġhaz-e-ātish-zada
shām-e-ġham apnī maiñ sahar kar gayā
tā-ba-falak naala to pahuñchā thā raat
maiñ hī kuchh allāh kā Dar kar gayā
pūchh na 'qā.em' kī kaTī kyūñki umr
juuñ havā yak-chand basar kar gayā
Top Urdushayar.com