Qayem Chandpuri

kaun sa din ki mujhe us se mulaqat nahin

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
kaun sā din ki mujhe us se mulāqāt nahīñ
lek jī chāhe hai juuñ milne ko vo baat nahīñ
aañkh laḌ jaa.e hai yuuñ ab bhī to us kī mahram
lek nazroñ meñ vo aage kī sī samkhāt nahīñ
jis jhamakḌe se ki nit chashm mirī Tapke hai
aisī jhaḌiyoñ se to barsī kabhī barsāt nahīñ
raunaq-e-bāda-parastī thī hamīñ tak jab se
ham ne kī tauba kahīñ nām-e-ḳharābāt nahīñ
shaiḳh kī dāḌhī kī jo kahiye baḌā.ī sach hai
is sivā aur par ik pashm karāmāt nahīñ
aa jo miltā hai to mil le tū ki fursat hai muft
ek chashmak meñ mirī jaan ye phir raat nahīñ
rakh tū sargoshī ke hiile ko to muñh par 'qā.em'
bosa lene kī is amboh meñ go ghaat nahīñ
Top Urdushayar.com