shab kis se ye ham judā rahe haiñ
tā sub.h nipaT ḳhafā rahe haiñ
aanā hai to aa vagarna pyāre
ham aap se aaj jā rahe haiñ
baiTheñ pas-e-kār-e-ḳhvesh kyūñ-kar
jo naaz tire uThā rahe haiñ
vīrāne se mere Dar na ai chuġhad
ik vaqt to yaañ humā rahe haiñ
ai hastī tū khīñch naqsh-e-bātil
ham haiñ to ise miTā rahe haiñ
phir āzim-e-girya huuñ ki tūfāñ
juuñ abr nazar meñ chhā rahe haiñ
ronā hai agar yahī to 'qā.em'
ik ḳhalq ko ham Dubā rahe haiñ